Monday, August 9, 2010

Tohfa

Main nahi mujrim mere yaar,
Unn yaadon ka hai yeh kasoor
Jo tohfa tum chor gayi,
Jab gayi tum mujhse door...

Unn saanson ne tumhein yaad kiya,
Jinke sahaare maine jeeya
Unn ashhkon ne tumhein yaad kiya,
Jinhe sirf maine peeya...
Main nahi mujrim mere yaar,
Tumhaare tohfe ka hai yeh kasoor...

Unn palkon ne tumhein yaad kiya,
Jinpe thi tum kabhi baithi
Unn aankhon ne tumhein yaad kiya,
Jin mein tum ab tak ho basi...
Unn lamhon ne tumhein yaad kiya,
Jin mein samaayi thi tumhaari hansi...
Main nahi mujrim mere yaar,
Tumhaare tohfe ka hai yeh kasoor...

Unn geeton ne tumhein yaad kiya,
Jo humne kabhi saath saath they gungunaay...
Unn baton ne tumhein yaad kiya
Jinhe kabhi tumhaare labon ne sahlaay..
Main nahi mujrim mere yaar,
Tumhaare tohfe ka hai yeh kasoor...

Uss gali, unn raston ne tumhein yaad kiya
Jin pe kabhi they humne saath chalein
Har mor ne tumhein yaad kiya
Jahan thak kar kabhi hum baithein
Main nahi mujrim mere yaar,
Tumhaare tohfe ka hai yeh kasoor...

Unn khaton ne kabhi tumhein yaad kiya,
Jo tumne they likhe...
Unn waadon ne kabhi tumhein yaad kiya,
Jinpe they mere saans tike...
Main nahi mujrim mere yaar,
Tumhaare tohfe ka hai yeh kasoor...

Unn sachchaiyon ne kabhi tumhein yaad kiya,
Jo thi na kabhi humse chupi..
Uss vishwaas ne tumhein yaad kiya,
Jo ab takk hai tiki
Main nahi mujrim mere yaar,
Tumhaare tohfe ka hai yeh kasoor...

Unn uljhano ne kabhi tumhein yaad kiya,
Jo kabhi humne saath they suljhaay...
Unn takkraron ne tumhein yaad kiya,
Jinhone kabhi tumhein rulaayein
Main nahi mujrim mere yaar,
Tumhaare tohfe ka hai yeh kasoor...

Tumhaari hansi ne tumhein yaad kiya,
Woh halki si muskaan...
Tumhaari har adaa ne tumhein yaad kiya,
Jo har pal karte they mujhe hairaan
Tumhaara sharmaana- kabhi chup ho jaana,
Chahte huye bhi kuch bol na paana..
Bachchon ki tarah kabhi rooth jaana
Tumhaare bachpana ne tumhein yaad kiya...
Main nahi mujrim mere yaar,
Tumhaare tohfe ka hai yeh kasoor...

Unn sapno ne kabhi tumhein yaad kiya,
Jo humne saath they dekhe...
Meri hansi ne tumhein yaad kiya,
Jo tum apne saath gaye leke...
Main nahi mujrim mere yaar,
Tumhaare tohfe ka hai yeh kasoor...

Chaha bahut ki tujhe na chahoon,
Socha bahut ki na sochun...
Par mere yaar yeh ho na sakaa
Bas ab aur main kya kahun...
Chahta raha hun, chaahte rahunga
Ki tumhein main bhool paayun..
Par chaahne ka yahi sila hai
Na chaahte huye bhi, tumhein hi chahoon
Main nahi mujrim mere yaar,
Tumhaare tohfe ka hai yeh kasoor...

No comments: